Barasti hain meri aankhen,
akelepan me roti hain...
Tujhe hi yaad karta hoon,
sukun se main na sota hoon..
Diya kya khub ye tune,
sila meri wafaon ka...
Tujhe ik roj main dunga,
sila teri jfaaon ka...
Mujhe tanhaiyan dekar,
mera jeena kiya mushkil...
Tere sadme ke sadmo se,
tadapta hai bechara dil...
tere sare gunahon ki,
Khuda tujhko sazaa dega....
mohabbat ki tadap kya hai,
tujhe bhi wo bta dega...!!!
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें