बुधवार, 19 अगस्त 2015

Bahut Takleef Deta hai...

Mujhe na saans aati hai,
na mera dum nikalta hai...

magar ye dard ka alam,
bahut taqleef deta hai...

samandar na nigalta hai,
na saahil par hi lata hai...

magar ye doobna ubharna,
bahut takleef deta hai...

jo tum bolo sanwar jayen,
jo tum bolo bikhar jayen..

magar ye tootna bikharna,
bahut takleef deta hai..

jo tum mano to batlayen
jo tum samjhaio to samjhayen

tumhare bin adhoora-pan
bahut takleef deta hai.....

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें